Har saal Facebook ke developer conference F8 mai future mai anee wale projects par roshni dali jate hai, es baar bhee aise dhero projects thee jin par charcha ke gaye, enhe mai se ek thaa mind reading technology project.
yanee facebook ek aise project par kaam kar raha hai jis technology ke help se mind read keya ja sakta hai, es project ko Augmented reality ks naam deya gaya hai jo camera late form ke sath milkar kaam karta hai.
Report ke hesab se ek project par 8 logo ke team kaam karne mai lagi jo futuristic gadgets par kaam kar rahe hai.
company me apne agee ke plan ke bare mai jankari dete hue bataya ke ess samay wo 2 aise project par kaam kar rahi hai jo brain computer interface par kaam kar rahe hai, jisme 60 engineers ke ek Team bhe shaamil hai.
Team ko handle kar rahi Regina jo Building 8 ke Head hai ne jankari dete hue kaha, ye Brain computer interface hamare demag ke bhasha ko paad lege aur usee text mai badal dege. Regina Dugan ne esee “silent speech interface” ka naam deya hai.
etna he nahe unka kahna hai agle 2 salo mai B8 aisa system bana lega jo 100 words 1 minute mai type kar lega jo phone mai type karne ke mukable 5 gunna fast hai.